DASTAK DE GAYA KOI

Dil ke darwaze ko dastak de gaya hai koi,
Kyun aisa lagta hai, ki abb to mill gaya hai koi.
Lagta hai aankhon mein bas gaya hai koi,
Kyun aaisa laga ki, abb to mill gaya hai koi.

Mera naam puchne par, uska naam labhon se nikal jata hai,
Thikana to apne ghar ka hi bataya tha !!!, par uske ghar kyun chodd aata hai koi,
Kyun aaisa laga ki, abb to mill gaya hai koi.

Bas,! Ji chahta hai ki abb to marr hi jaun,
Par najane bar-bar bachati hai yaad koi,
Kyun aaisa laga ki, abb to mill gaya hai koi.

Har payemaine par uske honthon ki nishan dhundt Hun,
Har gali mein pairon ki dhuul dhundta hun,
Socha tha inkar ho jayega ishq ka, par kyun darwaze par phool chodd jata hai koi.
Kyun aaisa laga ki, abb to mill gaya hai koi.
~~~~ TANUJ KUMAR DOGRA~~~~

Comments

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular Posts