
Ek pyar bhari mulakat ka andaaz hee kuch alag tha,,,
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha..
Ab to manzille juda ho chali hai ,,
Ab to manzille juda ho chali hai ,,,
Pehle to hamare raston ka mukaam hee kuch alag tha….
Ek pyar bhari mulakat ka andaaz hee kuch alag tha,,,
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha….
Ab to kabhi-kabaar mithi si do baatien ho jatti hai ,,
Ab to kabhi-kabaar mithi si do baatien ho jatti hai ,,,
Kabhi un hothon ka andaaz-e-bayaan hee kuch alag tha….
Ek pyar bhari mulakat ka andaaz hee kuch alag tha,,,
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha….
Ab to tanhayi mein unki yaddon ka sarhana bana lete hai,,
Ab to tanhayi mein unki yaddon ka sarhana bana lete hai,,,
Gar unke kandhe par rakhe sar ka aaram hee kuch alag tha….
Ek pyar bhari mulakat ka andaaz hee kuch alag tha,,,
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha….
Ab to yaad-e-tanhayi mein do aansoun baha liya karte hai,,
Ab to yaad-e-tanhayi mein do aansoun baha liya karte hai,,,
Aur pehle unki bhiggi palkon ko pounchane ka ehsas hee kuch alag tha….
Ek pyar bhari mulakat ka andaaz hee kuch alag tha,,,
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha….
Dupate mein chuptta hamare naam ka peygaam hee kuch alag tha….
~~~~~~~~~~tanuj kumar dogra~~~~~~~

Comments
Post a Comment